New Post (132) : A children's prayer in Urdu (by Allama Iqbal)
~~~A prayer that WE grown ups need to learn all over again~~~
Ahh...The purity of soul that only a child can invoke.
"Lap pe aati hai dua ban ke tamanna meri"...
Charlie Brown
~~~~~~~~~~~~~~
Chanson enfantine
(Français)
Le désir de mon cœur monte à mes lèvres comme une prière.
Dieu, fais ma vie semblable à celle d'une bougie, un guide lumineux,
Ma présence détruirait l'obscurité de ce monde,
Et ma lumière vive illuminerait tout l'espace.
Mes actions seraient pour mon pays, belles et admirées
Tout comme une fleur ajoute à la beauté d'un jardin.
Ma vie serait comme celle d'une mite qui aime la lumière et y vole, Ô Seigneur
Tel serait mon amour de la Connaissance, Ô Seigneur !
Ma tâche serait d'aider les pauvres
Et d'emplir d'amour la vie des égarés et des vieux
Ô Dieu, éloigne-moi du mal et du tort
Et garde-moi sur le sentier droit et vertueux.
---by Allama Iqbal
~~~A prayer that WE grown ups need to learn all over again~~~
Chanson enfantine
(Ourdou)
Lap pe aati hai dua ban ke tamanna meri
Lap pe aati hai dua ban ke tamanna meri
Zindgi shama ki surat ho Khudaya meri
Zindgi shama ki surat ho Khudaya meri
Door duniya ka mere dam se andhera hojaye

Har jagah mere chamakne se ujala hojaye
Har jagah mere chamakne se ujala hojaye
Ho mere dum se yohe mere watan ki zeenat

Jistara phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindigi ho meri parwaane ki soorat ya rab
Zindagi ho meri parwaane ki soorat ya rab
Ilm ki shama se ho mujko mohabat ya rab
Ilm ki shama se ho mujko mohabat ya rab
Ho mera kaam ghareebon ki himayat karna
Ho mera kaam ghareebon ki himayat karna
Dardmandon se, Zaeefon se muhabbat karna

Mere Allah! Buraee se bachana mujhko
Mere Allah! Buraee se bachana mujhko
Naik jo raah ho us rah pe chalana mujhko
Naik jo raah ho us rah pe chalana mujhko.
---by Allama Iqbal
~~~A prayer that WE grown ups need to learn all over again~~~
1. I have been most pleasantly surprised by the “geographical spread” of the readership of this BLOG. My thanks to you all for your time & readership !. 2. I am pleased to note that this BLOG by a common person seems to be attracting more viewers than the official BLOGs of some major MNCs. 3. Feel free to correspond directly with Charlie Brown at charliebrownru@yahoo.com
Search This Blog
Thursday, February 3, 2011
In a cloud of dust !
New Post (131) : In a cloud of dust !
In the respectful memory of those of our parents who are no more with us in the body:
I have memories of NEERAJ the lyricist (himself) singing this song ***.
(&) Me sitting there with my parents in a small audience.
"kaaravaan guzar gayaa, gubaar dekhate rahe"...
Charlie Brown
~~~~~~~~~~~~~~
*** The words >>>
Swapn jhare phool se, meet chubhe shool se
lut gaye shringaar sabhi, baag ke babool se
aur ham khade khade, bahaar dekhate rahe
kaaravaan guzar gayaa, gubaar dekhate rahe

Aankh bhi khuli na thi ki haaya dhoop dhal gaee
paanv jab talaq uthe ki zindagi fisal gaee
paat paat jhad gaye ki shaakh shaakh jal gaee
chaah to nikal saki na par umar nikal gayi
par umar nikal gayi
geet ashk ban gaye, swapn ho dafan gaye
saath ke sabhi diye, dhuaan pahan-pahan gaye
aur ham jhuke-jhuke, mod par ruke-ruke
umr ke chadhaav kaa utaar dekhate rahe,
kaaravaan guzar..
Kyaa shabaab thaa ki phool phool pyaar kar uthaa
kyaa kamaal thaa ki dekh aayinaa sihar uthaa
is taraf zameen aur aasamaan udhar uthaa
thaamakar jigar uthaa ki jo milaa nazar uthaa
jo milaa nazar uthaa
par tabhi yahaan magar, aisi kuchh hawaa chali
lut gayi kali kali ki ghut gayi gali gali
aur ham lute-lutTe, waqt se pitet-pite
saans ki sharaab kaa khumaar dekhate rahe
kaaravaan guzar..
Haath the mile ke zulf chaand ki sanwaar doon
ho.nth the khule ke har bahaar ko pukaar loon
dard thaa diyaa gayaa ke har dukhi ko pyaar doon
aur saans yun ke swarg, bhoomi par utaar doon
bhoomi par utaar doon
ho sakaa na kuchh magar, shaam ban gayi sahar
wo uthi lahar ke Deh gaye kile bikhar bikhar
aur ham dare dare, neer nain mein bhare
odh kar kafan pade mazaar dekhate rahe,
kaaravaan guzar..
Maang bhar chali ke ek jab nayi nayi kiran
dholakein dhunak utheen thumak uthe charan charan
shor mach gayaa ke lo chali dulhan chali dulhan
gaanv sab umad padaa, bahak uthe nayan nayan
bahak uthe nayan nayan
par tabhi zahar bhari gaaz ek wah giri
punchh gayaa sindoor taar taar huyi choonari
aur ham ajaan se, door ke makaan se
paalaki liye huye kahaar dekhate rahe
kaaravaan guzar
Swapan jhare phool se, meet chubhe shool se
lut gaye shringaar sabhi baag ke babool se
aur ham khade khade bahaar dekhate rahe
kaaravaan guzar gaya gubbaar dekhate rahe

---by Neeraj
Breaks my heart !

Age is just a number.
New Post (130) : Age is just a number.
Know that…
”We are as old or as young as we think we are”.
Age and wisdom are not even "distant" cousins.
Enjoy the lyrics ***.
"Abhi To Mein Jawan Hoon"...
Charlie Brown
~~~~~~~~~~~~~~
*** Abhi To Mein Jawan Hoon
Artist: Malika Pukhraj
Lyrics Contributed By: Abrar
hawaa bhii kHushagawaar hai, guloN peH bhii nikhaar hai
tarannumeiN hazaar hai, bahaar purbahaar hai
kahaaN chalaa hai saaqiyaa, idhar to lauT idhar to aa
arey, yeh dekhtaa hai kyaa? uThaa subuu, subuu uThaa
subuu uThaa, piyaalaa bhar, piyaalaa bhar ke de idhar
chaman ki simt kar nazar, samaaN to dekh bekHabar
woH kaali kaali badliyaaN , ufaq peH ho gayi ayaaN
woH ik hajum-e-maikashaaN, hai su-e-maikadaaH ravaaN
yeH kyaa gumaaN hai badgumaaN, samajh naH mujh ko naatavaaN
kHayaal-e-zuhad abhi kahaaN? abhi to maiN jawaan hooN
ibaadatoN kaa zikr hai, nijaat ki bhi fikr hai
junoon hai sawaab ka, kHayaal hai azaab kaa
magar suno to shekH ji, ajeeb shai haiN aap bhi
bhalaa shabaab-o-aashiqui!, alag huay bhi haiN kabhi?
hasiin jalwaaH raiz hoN, adaaeiN fitanaaH kHaiz hoN
havaaeiN itr baiz hoN, to shauq kyuN naH taiz hoN?
nigaah haai fitanaaH gar, koi idhar koi udhar
ubhaarate hooN aish par, to kyaa karey koi bashar?
chalo ji qissaaH mukHtasar, tumhaaraa nuqtaa-e-nazar
durust hai to ho magar, abhi to maiN jawaaN hooN
yeH gasht kohsaar ki, yeH sair ju-e-waar ki
yeH bulbuloN keH chahchahey, yeH gulrukHoN keH qah-qahey
kissi sey mail ho gayaa, to raNj-o-fikr kho gayaa
kabhi jo waqt so gayaa, yeH haNs gayaa woH ro gayaa
yeH ishq kii kahaaniyaaN, yeH ras bhari jawaaniyaaN
udhar sey meharbaaniyaaN, idhar sey lantaraaniyaaN
yeH aasmaan yeH zamiiN, nazzaraahaa-e-dilanashii.n
unHey hayaat aafareeN, bhalaa maiN chhoRh dooN yahiN
hai maut is qadar qariN, mujhey naH aayegaa yaqiN
nahiN nahiN, abhi nahiN, nahiN-nahiN abhi nahiN
naH gHam kashood-o-bast ka, balaNd ka naH past ka
naH bood ka naH hast ka, naH vaadaa-e-alast ka
ummid aur yaas gum, havaas gum qayaas gum
nazar sey aas-paas gum, hamaa, bajuz gilaas gum
naH mai meiN kuchh kami rahey, qadaaH sey hamdami rahey
nashist yeH jami rahey, yahi hama hami rahey
woH raag chheRh mutribaa, tarab-fizaa, alam-rubaa
asar sadaa-e-saaz ka, jigar meiN aag de lagaa
har ik lab pe ho sadaa, na haath rok saaqiyaa
pilaaye jaa pilaaye jaa, abhi to maiN jawaan hooN
--- by Hafeez Jallandhari

Subscribe to:
Posts (Atom)